Suwal: Kya islam me qasam dena jaiz he? Apni ya samne wale ki ya apne bacho ki qasam dena durust he? Jawab: Rasulullah ﷺ ne bila zarurat qasam khane ko pasand nahi farmaya he, isliye zarurat ho to hi qasam khayi jaye, bager zarurat qasam khana karahat se khali nahi, phir agar qasam khani hi he to allah hi ki qasam khayi jaye, allah ke alawa ki qasam khana durust nahi. Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya: لا تحلفوا الا بالله Niz usi riwayat me he ke apne maa baap wagera ki qasam na khavo. Isliye apni qasam dena sakht gunah he, usse mukammal ijtinab (bachna) wajib he, or agar is tarah qasam di jaye to likha he ke is tarah qasam dene me kufr ka andesha he: بل يخاف منه في نحو وحياتي وحياتك: رد المحتار: ٥/٤٨٤ ( كتاب الفتاوى: ٦/٣٤)